Friday, May 21, 2010

kisi aur ka ghar

tha garv mujhe is shehar mein rehne ka
baatein iski apno mein kehne ka
na jaane vo jamana kab picche chhoot gaya
mere yaadon ke khajane ko koi loot gaya

jis chowk ke chakachoundh ko tarasti thi aankhein
usse hoke guzarne mein ab dar lagta hai
vo bhi is kadar lagta hai
ki ab wahan na jana hi behtar lagta hai

baarish ke baad mitti ka mehakna
subah ki kirno mein chidiyon ka chehkana

hawa ke jhonko se abtak wahi khusbu aati hai
par fir bhi lagta hai koi rishta na baaki hai

sochta hu kya koi apna tha mera
is shehar mein, is watawaran mein
yahan ke logo mein, is paryawaran mein
kuch dur ho jaye,kuch chhoot jaye,aisa kuch kahan tha mera

jane ye kiska dosh hai
kyun hota na mujhe afsos hai
har kona dekha maine, har gali se guzra hu
fir kyun lagta hai, aaj hi aaya hu aur aaj hi ja raha hu

khayal aata hai, dur milon apna ek shehar hai
jahan pe main pala, badha, chalna sikha

pyar ka matlab samjha, pyar karna sikha
apna to bas wahi hai,ye to kisi aur ka ghar hai







abhishek kunal